Allah ki Ataa se Huzoor ﷺ ka Ilm e Gaib

12
8/2/2016 Allah ki Ataa se Huzoor ka Ilm e Gaib | Ahle Sunnat Research Centre http://ahlesunnatresearchcentre.com/allahkiataasehuzoor%ef%b7%bakailmegaib 1/12 Allah ki Ataa se Huzoor ka Ilm e Gaib HUZOOR KO ALLAH KI ATAA SE ILM E GAIB QURAN 1. “Aur Allah ki Shaan Yeh Nahi Aye Aam logo tumhe Gaib ka ilm dede Haan Allah chun leta hain Apne Rasoolo se jisse chahe. Too Imaan laao Allah aur Uske Rasoolo par aur agar Imaan laao aur Parhezgaari karo too Tumhare liye bada sawaab hain.” [● Aale Imraan , Ayat no. 179] 2. “Aur Tumhe Sikha diya joo Kuch Tum na jaante the aur Allah ka Tum par bada Fazl hain”. [● Surah Nisa , Ayat no. 113] 3. “Woh joo gulami karege uss Rasool BePadhe Gaib ki Khabre dene wale ki Jisse likha huwa paayege apne paas Tawraat aur Injeel main”. [● Surah A’araaf, Ayat no. 157] 4. “Ye kuch gaib ki khabre hain joo hum tumhari taraf wahi karte hain, aur tum unke paas na the jab unhoone apna kaam pakka kiya tha aur Daaw chal rahe the.” [● Surah Yusuf , Ayat no. 102] 5. “Gaib ka jaane wala too apne Gaib par kisiko Musallat nahi karta siwaye apne pasandida Rasoolo ke , ki unke aage peeche pehra mukarar kar deta hain.” [● Surah Jinn, Ayat no. 26,27] 6. “Aur Ye Nabi Gaib batane main Kanjoos nahi”. [● Surah Takweer, Ayat no 24] ● AAHAADITH HOME ABOUT US BOOKS COURSES SCHOOL MULTIMEDIA ISLAMIC ARTICLES CONTACT

Transcript of Allah ki Ataa se Huzoor ﷺ ka Ilm e Gaib

8/2/2016 Allah ki Ataa se Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka Ilm e Gaib | Ahle Sunnat Research Centre

http://ahlesunnatresearchcentre.com/allah­ki­ataa­se­huzoor­%ef%b7%ba­ka­ilm­e­gaib 1/12

Allah ki Ataa se Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka Ilm e Gaib

HUZOOR KO ALLAH KI ATAA SE ILM E GAIB

QURAN

1. “Aur Allah ki Shaan Yeh Nahi Aye Aam logo tumhe Gaib ka ilm dede Haan Allah chun leta hain ApneRasoolo se jisse chahe. Too Imaan laao Allah aur Uske Rasoolo par aur agar Imaan laao aur Parhezgaari karotoo Tumhare liye bada sawaab hain.”

[ Aale Imraan , Ayat no. 179]

2. “Aur Tumhe Sikha diya joo Kuch Tum na jaante the aur Allah ka Tum par bada Fazl hain”. [ Surah Nisa ,Ayat no. 113]

3. “Woh joo gulami karege uss Rasool Be­Padhe Gaib ki Khabre dene wale ki Jisse likha huwa paayege apnepaas Tawraat aur Injeel main”.

[ Surah A’araaf, Ayat no. 157]

4. “Ye kuch gaib ki khabre hain joo hum tumhari taraf wahi karte hain, aur tum unke paas na the jab unhooneapna kaam pakka kiya tha aur Daaw chal rahe the.”

[ Surah Yusuf , Ayat no. 102]

5. “Gaib ka jaane wala too apne Gaib par kisiko Musallat nahi karta siwaye apne pasandida Rasoolo ke , kiunke aage peeche pehra mukarar kar deta hain.”

[ Surah Jinn, Ayat no. 26,27]

6. “Aur Ye Nabi Gaib batane main Kanjoos nahi”.

[ Surah Takweer, Ayat no 24]

AAHAADITH

HOME ABOUT US BOOKS COURSES SCHOOL

MULTIMEDIA ISLAMIC ARTICLES CONTACT

8/2/2016 Allah ki Ataa se Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka Ilm e Gaib | Ahle Sunnat Research Centre

http://ahlesunnatresearchcentre.com/allah­ki­ataa­se­huzoor­%ef%b7%ba­ka­ilm­e­gaib 2/12

1. Hazrat Anas bin Maalik رضي اهللا تعالى عنه farmate hai ki jab Aaftaab dhala too Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلصtashreef laaye aur Zohr ki Namaaz padhayi phir salaam pherne ke baad Aap ملسو هيلع هللا ىلص mimber par jalwa afrooz huweaur Qayamat ka zikr kiya aur phir farmaya :

Iss (qayamat) se pehle bade bade waqi’aat wa haadsaat hain,

Phir farmaya: Joo shaks kisi bhi noweeyat ki koi baat puchna chahta hai too who puche, Khuda ki Qasam!Main jab tak yaha khada hu tum joo bhi puchoge uss ka jawaab duga.

Hazrat Anas رضي اهللا تعالى عنه farmate hai ki logo ne zaaro qataar roona shuru kar diya. Huzoor Nabi e Kareem.jalaal ke sabab baar baar ye ailaan farma rahe the ki koi sawaal karo mujh se (joo chaho) puch lo ملسو هيلع هللا ىلص

Hazrat Anas رضي اهللا تعالى عنه kehte hai ki phir ek Shaks khada huwa aur kehne laga: Yaa Rasulallah! ملسو هيلع هللا ىلص Merathikana kaha hai?

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: Dozakh main.

Phir Hazrat Abdullah bin Huzafa رضي اهللا تعالى عنه khade huwe aur arz kiya : Yaa Rasulallah! ملسو هيلع هللا ىلص

Mera Baap kaun hain?

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: Tera Baap Huzafa hai.

Hazrat Anas رضي اهللا تعالى عنه Farmate hai ki phir Aap ملسو هيلع هللا ىلص baar baar farmate rahe mujh se sawaal karo mujh sesawaal karo,

Chunaanche Hazrat Umar رضي اهللا تعالى عنه Ghutnoo ke bal baith kar arz guzaar huwe. Hum Allah Ta’ala ke Rabhoone par, Islam ke deen hone par aur Muhammad Mustafa ملسو هيلع هللا ىلص

ke Rasool hone par Raazi hai (Aur hume kuch nahi puchna).

Raawi kehte hain ki jab Hazrat Umar رضي اهللا تعالى عنه ne ye guzarish ki too Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلصKhamoosh hoo gaye phir Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: Qasam hain uss zaat ki jiss ke qabza e qudrat main meri jaanhai! Abhi Abhi iss diwaar ke saamne mujh par Jannat aur Dozakh pesh ki gayi jabki main namaaz padh rahatha too aaj ki tarah maine khair aur shar ko kabhi nahi dekha.”

YE HADITH MUTAFAQ ALAY HAIN.

Hafiz Ibne Kathir Allah Talaa ke iss farmaan Aye Imaan walo! Tum aisi cheezo ki nisbat sawaal mat kiya karo(jin par Quraan khamoosh hoo) ki agar who tumhare liye zaahir kar di jaaye too tumhe mashaqat main daal de(aur tumhe buri lage) ke bare main bayaan karte hai ki Imam Saddi se marwi hain ki ek Din Huzoor Nabi eKareem ملسو هيلع هللا ىلص (kisi baat par khafa hoo kar) jalaal main aa gaye aur Aap ملسو هيلع هللا ىلص Khitaab ke liye Qayaam farma huweaur farmaya: Mujh se pucho! Pas tum mujh se jiss cheez ke bare main bhi puchege main tumhe (issi jagah)uss ke bare main batauga.

Banu Suham main se Qabila e Quraish ke ek aadmi jinhe Abdullah bin Huzafa kaha jaata tha aur jin ke nasabmain ta’aan zani ki jaati thi (yaani log unn ke nasab main shak karte the), khade huwe aur arz kiya: Yaarasulallah! ملسو هيلع هللا ىلص

Mera Baap kaun hain?

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: Tera Baap Falah (Huzafa) shaks hai.

Aap ne unhe (unke apne) Baap ke naam ke saath pukara.

Phir Hazrat Umar رضي اهللا تعالى عنه khade huwe aur Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke kadam Mubarak Chum kar arz kiya: YaaRasulallah! ملسو هيلع هللا ىلص Hum Allah Ta’laa ke Rab hoone, Aap ke Nabi hoone aur Islam ke deen hone aur Quraan ke

8/2/2016 Allah ki Ataa se Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka Ilm e Gaib | Ahle Sunnat Research Centre

http://ahlesunnatresearchcentre.com/allah­ki­ataa­se­huzoor­%ef%b7%ba­ka­ilm­e­gaib 3/12

Imam aur Rehnuma hoone par raazi hain. Hume Muaaf farma dijiye. Allah Ta’laa Aap se mazeed raazi hooga.Pas Hazrat Umar رضي اهللا تعالى عنه musalsal arz karte rahe yaha tak ki Aap raazi hoo gaye.”

[ Sahih Bukhari, Kitab ul Ihtisaam bil kitaab wa sunnah, Baab: Maa yakraho min kasratis sawaale wa takallifemaa’laa yu an’nihi;

Sahih Muslim, Kitaabul Fazaail, Baab: Tawkirihi wa tarki iksaari sawaalin amma la zarurata ilay;

Musnad Ahmed Ibne Hambal, Jild 3;

Musnad Abu Yalaa, Jild 6;

Sahih ibne Habban, Jild 1.;

Tabrani fil Maujamil Awsat;

Ibne Kaseer fi tafseeril Quranil azeem, Jild 2]

2. Hazrat Umar رضي اهللا تعالى عنه se riwayat hain ki Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص Ek Roz hamare darmiyaanQiyam farma huwe aur Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne Makhluqaat ki Ibtida se le kar Jannatiyo ke Jannat main daakhil hoo jaaneaur Dozakhiyo ke dozakh main daakhil hoo jaane tak hume sab kuch bata diya. Jiss ne use Yaad rakha sooyaad rakha aur joo use bhul gaya soo bhul gaya”.

[ Sahih Bukhari, Kitab ul Bada’il Khalq]

3. Hazrat Anas رضي اهللا تعالى عنه riwayat karte hain ki Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ne Hazrat Zaid , HazratJaafar aur Hazrat Ibne Rawaha رضي اهللا تعالى عنه ke shaheed hoo jaane ke mutaliq Maidaan e Jang se khabaraane se pehle hi logo ko bata diya tha. Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne (Maidaan e Jhang se sekdoo meel durr Madina Sharif main)farmaya: Ab jhanda Zaid رضي اهللا تعالى عنه ne sambhalaa huwa hain leekin woh shaheed hoo gaye. Ab Jaafarرضي اهللا تعالى عنه ne jhanda sambhaal liya hai aur woh bhi shaheed hoo gaye. Ab Ibne Rawaaha رضي اهللا تعالى عنه ne jhanda sambhalaa hain aur woh bhi Jaame Shahadat nosh kar gaye. Ye farmate huwe Aap ملسو هيلع هللا ىلص keChashmaane Mubarak Ashk baar the. (Phir farmaya) Yaha tak ki ab Allah Talaa ki Talwaaro main se EkTalwaar (Khalid bin Waleed رضي اهللا تعالى عنه ) ne jhanda sambhal liya hain. Uss ke haatho Allah Talaa ne(Musalmaano ko) Kaafiro par Fateh Ataa farmayi hain.”

[ Sahih Bukhari, Kitab ul Magazi, Baab: Gazwa e Mawtah min ardish shaam wa fi Kitab ul Janaaiz Baab:Rajulun yan aee ilaa ahlil mayyitibi nafsihi wa Kitab ul Jihaad Baab: Tamnaish Shahadat;

Nasaai fi Sunan e Kubra, Jild 5

Musnad Ahmed bin Hanbal, Jild 1.;

Haakim fil Mustadrak, Jild 3 ]

4. Hazrat Abu Hurraira رضي اهللا تعالى عنه se riwayat hain ki Jab Khaibar Fateh huwa too Baargah e Nubuwat ملسو هيلع هللا ىلص main bhuna huwa bakri ka gosht (Yahood ki janib se) bataur hadiya paish kiya gaya, jiss main zeher milayagaya tha.

Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: jitney Yahoodi yaha maujood hain unhe mere paas bulaao. Unhebulaya gaya. Too Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne unn se farmaya: Main tum se Ek baat daryaaft karna chahta hu. Kya tum sahihjawaab doge?

Unhoone Issbaat main jawaab diya too Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne daryaaft farmaya : Tumhara Jadde Aalaa kaun hain?Unhoone Jawaab diya ki Falaa! Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne Farmaya : Tum Jhoot bol rahe hoo. Tumhare Jadde Aalaa kanaam too falah hain.

Woh kehne lage: Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne sach farmaya.

8/2/2016 Allah ki Ataa se Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka Ilm e Gaib | Ahle Sunnat Research Centre

http://ahlesunnatresearchcentre.com/allah­ki­ataa­se­huzoor­%ef%b7%ba­ka­ilm­e­gaib 4/12

Phir Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: Agar main tum se koi baat poochu too kya tum sahih jawaab doge?

Unhoone Jawaab diya: Haan, Aye Abul Qasim! Agar humne galat bayaani se bhi kaam liya too Aap (Ilm e Gaibke haamil hoone ki wajeh se) hamare jhoot se iss tarah Aagah hoo jayege jaise hamaare jade aalaa ke baremain Aap ملسو هيلع هللا ىلص ko malum hoo gaya.

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: Jahanami kaun hai?

Unhoone Jawaab diya: Thoode se din too hum doozakh main rahege aur hamare baad Aap (yaani musalmaan)uss main rahege.

Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: (hameesha) Tum log hi iss main zillat uthate rahege aur khuda kiQasam! Hum (Ahle Islam) too kabhi bhi iss main tumhare jaanasheen nahi banege.

Phir Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: Agar main tum se koi baat puchu too sach sach bata doge? Woh kehne lage: Jihaan! Aye Abul Qasim!

Too Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne daryaaft farmaya: Kya tumne Bakri ke iss Gosht main zeher milaya hain?

Unhoone jawaab diya: Haan!

Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya, Tumhe iss baat par kis cheez ne ubhaara?

Unhoone Jawaab diya ki iss se humne ye irada kiya ki agar Aap ملسو هيلع هللا ىلص jhoote hain too Hamari Aap se Gulukhulasi hoo jaayegi aur agar Aap sache Nabi hain too Zeher Aap ko nuksaan nahi pohcha sakta.”

[ Sahih Bukhari, Kitab ul Jiziyah;

Sunan Abu Dawood, Kitab ul Diyaat;

Musnad Ahmed bin Hambal, Jild 2;

Musannaf ibne abi Shayba, Jild 5;

Sunan Daarmi, Jild 1 ]

5. Hazrat Amr bin Akhtab Ansaari رضي اهللا تعالى عنه Bayaan karte hain ki Huzoor Nabi e Akram ملسو هيلع هللا ىلص ne Namaz eFajr main hamari imaamat farmayi aur Mimber par Jalwa afrooz huwe aur Hume khitaab farmaya yaha tak kiZohar ka waqt hoo gaya. Phir Aap ملسو هيلع هللا ىلص neeche tashreef le aaye. Namaz padhayi baad azaa phir mimber partashreef farma huwe aur hume khitaab farmaya hat’ta ki Asr ka waqt hoo gaya phir mimber se neeche tashreeflaaye aur namaz padhayi phir mimber par tashreef farma huwe aur hume khitaab farmaya yahan tak ki surajdoob gaya. Pas Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne hume har uss baat ki khabar de di joo Aaj ke din tak wuqu pazeer hoo chuki thiaur joo Qayamat tak hoone wali thi. Hazrat Amr bin Akhtab farmate hain, ‘Hum mein zyadah jaanne wala wohihain joo sab se zyada haafizah wala tha”

[ Sahih Muslim, Kitab ul Fitan wa Ashraatis sa’aa;

Tirmizi Sharif, Kitab ul Fitane ar Rasulillahi

Sahih Ibne Habban, Jild 15 ]

6. “Hazrat Huzaifa رضي اهللا تعالى عنه farmate hain ki Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ne mujhe Qayamat tak runumahoone wali har ek baat bata di aur koi aisi baat na rahi jise maine Aap ملسو هيلع هللا ىلص se pucha na hoo albatta main ye napuch saka ki Ahle Madina ko kaun si cheez Madina se nikale gi”.

[ Sahih Muslim, Kitab ul fitan e wa ashratis sa’aa;

Musnad Ahmed bin Hambal, Jild 5;

8/2/2016 Allah ki Ataa se Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka Ilm e Gaib | Ahle Sunnat Research Centre

http://ahlesunnatresearchcentre.com/allah­ki­ataa­se­huzoor­%ef%b7%ba­ka­ilm­e­gaib 5/12

Haakim al Mustadrak, Jild 4;

Musnad Bazzar, Jild 4 ]

7. Hazrat Anas bin Maalik رضي اهللا تعالى عنه riwayat karte hain ki Jab Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ko AbuSufyaan ke (qafile ki Shaam se) aane ki khabar pohchi too Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne Sahaba Ekraam se mashwara farmaya.Hazrat Sa’ad bin Ubada رضي اهللا تعالى عنه ne khade hoo kar arz kiya uss Zaat ki Qasam jiss ke Qabza e Qudratmain Meri Jaan hain, Agar Aap hume Samundar main ghoode daalne ka Hukm de Too hum Samundar mainghoode daal dege. Agar Aap hume Barq ghimaad pahaad se ghoodo ke seene takraane ka Hukm de too humaisa bhi karege. Tab Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ne logo ko bulaya Log (Aap ki Ma’eeyat main) chale yaha takki wadie Badr main utre. Phir Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya , Ye Falah Kaafir ke girne ki Jagah hain.Raawi bayaan karte hain ki Aap ملسو هيلع هللا ىلص zameen par iss jagah kabhi uss jagah Dast e Aqdas rakhte. Hazrat Anaski batayi huwi jagah se ملسو هيلع هللا ىلص kehte hai ki phir (Dusre din) koi Kaafir Huzoor Nabi e Kareem رضي اهللا تعالى عنهzarra barabar bhi idhar udhar nahi mara.”

[ Sahih Muslim, Kitab ul Jihaadi was sir’ee, Baab: Gazwate Badr;

Sunan Abu Dawood, Kitab ul Jihaad;

Sunan Nasai, Kitab ul Janaaiz;

Sunan e Kubra, Jild 1 ]

8. Hazrat Abdullah bin Abbas رضي اهللا تعالى عنه se riwayat hain ki Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya, MeriRab Mere Paas nihayat Ahsan Surat main aaya aur farmaya: Aye Muhammad! . Maine Arz kiya: Mera Rab!Haazir hu. Baar baar Haazir hu. Farmaya: Aalam e Baalaa ke farishte kiss baat par jhagadte hai? Maine Arzkiya : Aye mere Rab ! Main nahi jaanta. Pas Allah Talaa ne apna Daste qudrat Mere Kandho ke darmiyaanrakha aur maine Apne seene main uski thandak mehsoos ki Aur main woh sab kuch jaan gaya joo Mashrik waMagrib ke darmiyaan hain.”

[ a. Tirmizi Sharif, Kitab ul Tafsiril Quran, Baab: Wa min Suratil Swaad;

b. Sunan e Daarmi, Kitab ul Ru’yaa;

c. Musnad Ahmed bin Hambal, Jild 1;

d. Tabraani fi Mauja mil Kabeer, Jild 8]

9. “Hazrat Abu Hurraira رضي اهللا تعالى عنه se marwi hain ki Rasulullah ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: Main Jawame­ul­kalim kesaath maboos huwa hu aur Ru’ab ke saath madad kiya gaya hu aur Maine Khwaab main dekha ki mujhezameen ke khazaano ki kunjiyaan di gayi hai aur woh mere haath main thama di gayi hai.”

[ Sahih Bukhari, Kitab ul Aitesaam bil kitabe was sunnah Wa Kitab ul Jihaad;

Sahih Muslim, Kitab ul Masaajid;

Sunan Nasai, Kitab ul Jihaad;

Musnad Ahmed bin Hambal, Jild 2 ]

10. Hazrat Huzaifa bin Aseed رضي اهللا تعالى عنه se riwayat hain ki Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya:Guzishta raat meri tamam ummat Az Awwal taa Aakhir iss hujre ke paas mujh par pesh ki gayi too Ek Shaksne Arz kiya: Yaa Rasulallah!ملسو هيلع هللا ىلص Joo log paida hoo chuke hain woh too Aap par pesh kiye gaye magar jin ki

8/2/2016 Allah ki Ataa se Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka Ilm e Gaib | Ahle Sunnat Research Centre

http://ahlesunnatresearchcentre.com/allah­ki­ataa­se­huzoor­%ef%b7%ba­ka­ilm­e­gaib 6/12

abhi takhleeq nahi huwi woh Aap par kaise pesh kiye gaye? Too Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya mujh par unki mitti kisurate pesh ki gayi hat’taa ki unn main se har shaksh ko uss se zyada pehchaanta hu jitna ki tum main se koiapne kisi dost ko pehchaanta hain.”

[ Al Mawjamil Kabeer, Jild 3 ]

11. Hazrat Jaabir bin Abdullah رضي اهللا تعالى عنه se riwayat hain unhoone farmaya, Hum Rasulullah ملسو هيلع هللا ىلص kikhidmat main haazir the ki Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: Tumhare paas Ahle Jannat main se Ek shaks aayega tooHazrat Abu Bakr رضي اهللا تعالى عنه aa gaye. Phir farmaya tumhare paas ek Jannati Nau Jawaan aayega (raawine) farmaya pas Hazrat Umar رضي اهللا تعالى عنه tashreef le aaye . Phir (Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ) ne farmaya: Tumhare paasAhle Jannat main se Ek Shaks aayega. Yaa Allah woh shaks Ali ho! Yaa Allah woh Shaks Ali ho! Raawi nekaha phir Hazrat Ali رضي اهللا تعالى عنه tashreef le aaye.

[ Al Mawjamil Awsat, jild 7 ]

12. Hazrat Anas رضي اهللا تعالى عنه se riwayat hain Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص Jable Uhud par tashreef le gaye.Hazrat Abu Bakr رضي اهللا تعالى عنه , Hazrat Umar رضي اهللا تعالى عنه aur Hazrat Usmaan رضي اهللا تعالى عنه Aap ملسو هيلع هللا ىلص kesaath the. Uhud pahaad wajd main aakar harkat karne laga. Iss par Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: Uhud theher jaa!Mera Khayaal hain (Raawi ka Khayaal) Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne apne Paao Mubarak se uss par zarb Lagaayi (Phirfarmaya) Tere upar Ek Nabi, Ek Siddique aur Doo (2) Shaheed hi too hain.

[ Sahih Bukhari, Kitab ul Manaqib ]

13. Hazrat Ibne Abbasرضي اهللا تعالى عنه se riwayat hain unhoone farmaya ki Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص kaDoo/2 Qabro ke Qareeb se guzar huwa too Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya beshak unn dono ko Azaab hoo raha hain aurAzaab ki koi badi wajeh bhi nahi. Inn main se Ek Chugli khata tha aur Ek Peshaab se ahtiyaat nahi karta tha.Raawi farmate hain ki Phir Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne Ek Sabz Shaakh le kar uske doo/2 tukde kiye aur unn dono qabro parek ek tukda gaad diya phir farmaya jab tak ye khushk nahi hooge yaqenan unn ke azaab main takhfeef hootirahegi.

[ Sahih Bukhari, Kitab ul Janaaiz ]

14. Hazrat Ayesha رضي اهللا عنهاse riwayat hain ki Ek din Azwaaj e Mutahraat Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke paas Jama thiunhoone arz kiya , Yaa Rasulallahملسو هيلع هللا ىلص ! Hum main se sab se pehle kaun Aap se Mulaaqaat karegi? Too Aap:farmati hain رضي اهللا عنها ne farmaya: Joo tum main se zyadah lambe haatho waali hain. Hazrat Ayesha ملسو هيلع هللا ىلصAur Soodah رضي اهللا عنها hum main se zyada lambe haatho wali thi aur Aap hi hum main se sab se pehle Aapse Jaa mili (yaani unka Inteqaal sab se pehle huwa) ملسو هيلع هللا ىلص

[ Sahih Bukhari, Kitab ul Zakaat ]

Muslim ki Riwayat ke mutabiq Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ki peshangoyi ka misdaaq Sayyedah Zainab binte Jahash رضي اهللاhum main se zyada lambe haatho wali thi kyuki Aap apne Haath se رضي اهللا عنها thi. Zainab binte Jahash عنهاkaam karti aur Khairaat karti.

[ Sahih Muslim, Kitab ul Fazaail ]

15. Imam Shami Hazrat Fuzala bin Umair رضي اهللا تعالى عنه ka Islam lane se pehle ka waqia bayaan karte hain kiFateh Makkah ke din Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Khana e Kaba ka Tawaaf farma rahe the. Fuzala bhi Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke qatl keiraade se shareek e tawaaf hoo gaya. Jab woh Aap ملسو هيلع هللا ىلص ke qareeb pohcha too Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: Kya tuFuzala hain? Ussne Jawaab diya: Ji Haan! Main Fuzala hu. Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya:Tu apne Dil main kyakhayaal kar raha tha? Uss ne kaha: Kuch nahi main to Allah ! Allah! Kar raha tha. Ye sun kar Aap ملسو هيلع هللا ىلص nemuskuraate huwe farmaya: Main Allah se (tumhare liye) magfirat talab karta hu. Aur joo poshidah iraade se wohaaya tha usse uss par faash kar diya. Uss ke baad Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne apna dast e Aqdas uss ke seene par rakhdiya too uss ke dil ki duniya badal gayi. Aur adaawat ne daayimi Mohabbat ki surat ikhtiyaar karli. Baatin Noorse bhar gaya. Imaan ki daulat seene main machalne lagi. Woh saakhta pukaar utha: Allah ki qasam! Aap ne

8/2/2016 Allah ki Ataa se Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka Ilm e Gaib | Ahle Sunnat Research Centre

http://ahlesunnatresearchcentre.com/allah­ki­ataa­se­huzoor­%ef%b7%ba­ka­ilm­e­gaib 7/12

apna dast e mubarak mere seene se hataya nahi tha ki mujhe Aap ki zaat kayenaat ki har shay se zyadahmehboob hoo gayi.

[ Subulul Hudaa war rashaad ]

16. Fateh Makkah ke mauqe par Hazrat Abu Sufyaan رضي اهللا تعالى عنه ne joo Islam ke daayre rehmat main aachuke the Sahaba ke julus main Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke Tawaaf e Kaba ka manzar dekha too unke Dil main shaitaaniwaswasa angezi aur Hasad ke tehet ye khayaal guzra ki mere paas lashkar hoota too dobaara iss shaks kesaath jung karta. Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص Abu Sufyaan ki jaanib tashreef laaye . Apna dast e shafqat unkedoono kaandho ke darmiyaan rakha aur farmaya: Phir Allah tujhe zaleel karta. Hazrat Abu Sufyaan ne saruthaya too dekha ki Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص Qiyaam farma hain. Abu Sufyaan ne kaha: Mujhe yaqeen nahi tha ki Aap Qayamat tak ke liye Nabi hain. Ussi raat Abu Sufyaan ne apni biwi se kaha ki kya Aaj joo kuch huwa tu usseAllah ki taraf se samajhti hain? Ussne kaha Haan! Ye sab kuch min jaanib Allah hain. Subah indal mulaaqaatHuzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne Abu Sufyaan ko iss guftugu ke bare main aagaah karte huwe farmaya: Tune Hinda se ye kahatha ki kya ye sab kuch Allah ki taraf se hain? Too Abu Sufyaan رضي اهللا تعالى عنه be saakhta pukaar utha ki maingawahi deta hu ki Aap Allah ke Rasool hain aur aetaraaf kiya ki iss guftugu ke waqt mere aur meri biwi Hindabinte utba ke siwa koi maujood nahi tha.

[ Dalailul Nubuwah lil Baihiqi, Jild 5 ]

17. Syedna Abdullah bin Aas رضي اهللا تعالى عنه se marwi hain ki Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: MeriUmmat ke daur e Aakhir main log gosht posth aur haddiyo ke jaanwar ke bajaaye dusri sawariyo (yaani motorGaadiyo aur Hawai Jahaazo wagera) par safar karege.

[ Mustadrak al Haakim]

18. Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ne irshaad farmaya: Qayamat uss waqt tak munaqid na hogi jab tak zamane (waqt) kiekaayaan simat kar Ek dusre ke bilkul qareeb na aa jaye. Saal mahine ki tarah aur mahina hafte ki tarah aurhafta din ki tarah aur ek din ek pal ki tarah aur ek pal ek sholay ki maanind hoo jayega.

[ Tirmizi Sharif, Kitaab ul Zohd;

Musnad Ahmed bin Hambal, jild 2 ]

19. Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: Main unke (Dajjal Kazzaab se jihad karne walo ke) Naam, unkebaap dada ke naam aur unke ghodo ke rang bhi pehchaanta hu. Woh uss waqt ruae’e zameen par sab se accheshahsawaar hoge yaa ache shahsawaaro main se hoge.

[ Sahih Muslim, Kitab ul Fitan;

Mishkaat, Baab: Malahim ]

Iss Hadith ki tashreeh wa tauzeeh karte huwe Mulla Ali Qari farmate hain: Iss main Hadith maujzaa hoone kesaath saath iss par bhi dalalat hain ki Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka Ilm kaayenaat ke kulli aur Juzyi tamaam waqiyaat koghere huwe hain.

[ Mirqaat al Mafaati, jild 10]

20. Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ne Hazrat Esaa عليها السالم ke nuzul ke bare main khabar dete huwe farmaya:Hazrat Esaa عليها السالم zameen par utrege aur Nikah farmayege aur unki awlaad hogi aur paitaalees (45) saalqayaam farmayege. Phir unka wisaal hooga too meri Qabr ke saath mere rawze main dafan kiye jaayege.

[ Mishkaat Sharif, Baabo Qurb bis sa’aa]

Iss Hadith main Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ne Umoor e Khamsa main se Hazrat Esaa عليها السالم ke arsa ehayaat se mutaliq umoor e salaasa e gaibiya ki sahih khabar dedi aur Aap ki wafaat aur baad az wafaat umoor

8/2/2016 Allah ki Ataa se Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka Ilm e Gaib | Ahle Sunnat Research Centre

http://ahlesunnatresearchcentre.com/allah­ki­ataa­se­huzoor­%ef%b7%ba­ka­ilm­e­gaib 8/12

ka bhi batadiya. Iss par har qalma goo ka imaan hoona chahiye aur bila shuba qurb e qayamat aise hi hookarrahega.

21. Hazrat Abdullah bin Umar رضي اهللا تعالى عنه farmate hain: Hazrat Umar Farooq رضي اهللا تعالى عنه ne (kisi jang keliye) lashkar bheja aur Saariya naami Sahabi ko uss (lashkar) ka Ameer banaya. Pas jab Hazrat Umar رضي اهللاkhutba de rahe the, dooraane khutba zordaar aawaaz se pukare: Aye Saariya pahaad ki ood le! Pas تعالى عنهuss fauj ka ek qaasid (Fateh ki khush khabri le kar) aaya aur kehne laga: Aye Ameer ul Momineen hamaradushman se saamna huwa. Pas woh gaalib aane ko tha ki ek pukaarne wale ki pukaar sunaayi di: Aye Saariyapahaad ki ood loo, pas humne pahaad ki ood li aur Allah ta’alaa ne dushman ko shikast se doo chaar kiya.

[ Mishkaat Sharif, Dalaailun Nubuwah li abi Naeem;

Kanzul Ammaal, jild 12 ]

Andaaza lagaaye ki Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke sahaba ikraam ke gaibi mushaahida aur roohani tasarrufaat ka ye haal thatoo Huzoor Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ke Ilm e Gaib aur tasarrufaat ka aalam kya hoga?

22. Baihiqi ki riwayat ke alfaaz hai:

Hazrat Ibne Abbas se riwayat hain unhoo ne farmaya ki hamare saroo par baadal mandlaa rahe the ki Nabi eKareem ملسو هيلع هللا ىلص tashreef lee aaye. Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: Abhi abhi woh farishta jiss ke ikhtiyaar main baadaldiye gaye hain mere paas aaya . Uss ne mujhe salaam kiya. Phir mujhe khabar di ki woh baadlo ko Yamen kiek waadi jisse Sare’e kaha jata hain ki taraf le jaa raha hain. (raawi farmate hain) Uss ke baad hamare paas(waha se) ek sawaar aaya. Hum ne uss se baadalo ke mutaliq pucha too uss se bataya ki ussi din unke wahabarish huwi thi.

[ Khasaaesul Kubra, jild 2 ]

Abu Bakr bin Abdullah Muzni se riwayat hain ki Nabi e Kareem ne barish ke farishte ki khabar dete huwefarmaya ki woh falah shaher se aa raha hain aur falah din waha ke logo par barish huwi. Aur Aap ne uss sedaryaaft kiya ki hamare shaher par kab barish hogi? Too usne kaha falah din aur Aap ke paas kuchmunafiqeen jama the. Unhoone usse yaad rakha. Phir uss ke bare main daryaaft kiya pas unhe uss ki tasdeeqhaasil huwi phir woh Imaan le aaye. Unhoone uss ka zikr Huzoor se kiya too Aap ne farmaya Allah tumhareImaan main izaafa farmaye.

[ Khasaaesul Kubra, jild 2 ]

Imam Aalusi iss ke hawale se likhte hain:

Qustulani ne zikr kiya hain ki Allah Talaa jab barish ka hukm deta hain aur jiss jagah chahta hain baadalo tobhej deta hain too woh farishte jin ke supurd ye kaam hain. Uss ke bare main jaan lete hain aur Allah kimakhluq main se jisse Allah chahe woh bhi jaan jata hain.

[ Roohul Maani, Jild 2 ]

23. Hazrat Ummul Fazl binte Haaris رضي اهللا عنهاki riwayat ke mutabiq Rasulallah ملسو هيلع هللا ىلص ne Hazrat Imam Hussainki wiladat ki khushkhabri dete huwe farmaya: Tune behtar (khawaab) dekha . InshaAllah (meri رضي اهللا تعالى عنهbeti) Fatima رضي اهللا عنها ke yaha Beta hooga joo teri gaud main rahe ga. Pas Sayyeda Fatima رضي اهللا عنها keyyaha Hazrat Hussain رضي اهللا تعالى عنه paida huwe.

[ Mishkaat Sharif ]

24. Tabraani aur Ibne Asaakir ne Hazrat Abdullah bin Umar رضي اهللا تعالى عنه se marwi Hadees bayaan ki hain kiRasulallah ملسو هيلع هللا ىلص Umme Ebrahim Hazrat Maariya Qabtiya رضي اهللا عنهاke paas tashrif laaye jabki Ebrahim unkeshikam e Mubarak main the. Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmaya: Jibrael عليها السالم mere paas aaye aur mujhe muzda sunayaki Maariya ke pait main mujh se ladka hain. Woh tamaam makhlook se zyadah mujh se mushabeh tar hain.Unhoone mujh se kaha ki main uss ka naam Ebrahim rakhu aur Jibrael ne meri kunniyat Abu Ebrahim rakhi.

8/2/2016 Allah ki Ataa se Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka Ilm e Gaib | Ahle Sunnat Research Centre

http://ahlesunnatresearchcentre.com/allah­ki­ataa­se­huzoor­%ef%b7%ba­ka­ilm­e­gaib 9/12

[ Kanzul Ummaal, Jild 11 ]

25. Hazrat Salma bin Akwaa رضي اهللا تعالى عنه se riwayat hain ki Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ne irshaad farmaya: Kalmain uss shaks ko jhanda duga yaa woh shaks jhanda pakdega jiss se Allah aur uska Rasool Mohabbat kartehain yaa farmaya Joo Allah aur usske Rasool se mohabbat karta hain. Allah Talaa uss ke haath par fateh ataafarmayega. Hum ne dekha too woh Ali رضي اهللا تعالى عنه the. Hum unke bare main ye umeed na karte the.. Logone kaha ye Ali رضي اهللا تعالى عنه hain too Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne unhe jhanda ataa farmaya . Pas Allah talaa ne Aap kehaath par Fateh naseeb farmayi.

[ Sahih Muslim, Kitab ul Fazail;

Mishkaat Sharif ]

26. Hazrat Ibne Abbas رضي اهللا تعالى عنه se riwayat hain: Ummul Fazl Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke qareeb se guzre too Aap.ne farmaya Aap ek baite ki Maa banne wali hain. Jab woh paida hoo jaaye too usse mere paas le aana ملسو هيلع هللا ىلصHazrat Ummul Fazl farmati hain ki Jab mere yaha uss ki paidaish huwi too main usse le kar Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص kikhidmat main haazir huwi. Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne uss ke Daayi kaan main Azaan aur Baaye kaan main Iqaamat farmayiaur apna luaab e dahan e aqdas uss ke muh main daala aur uss ka naam Abdullah rakha. Aur farmaya Khulafake baap ko le jaao. Woh farmati hain ki maine Abbas رضي اهللا تعالى عنه se Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka irshaad bayaan kiya .Woh Aap ملسو هيلع هللا ىلص ki khidmat main haazir huwe aur Aap ملسو هيلع هللا ىلص se uss baat ka zikr kiya too Aap ملسو هيلع هللا ىلص ne farmayawoh maine (hi) khabar di thi. Ye Abul Khulafa hooga. Hat’taa ki us ski nasal se Saffaah hoga aur uss ki nasalse Mehdi عليها السالمhoga. Hat’taa ki woh bhi ussi ki nasal se hoga joo Hazrat Esaa bin Mariyam عليها السالم kesaath namaaz padhega.

[ Mawahibul Laduniya, Jild 7;

Hujjatullah alaa lil Aalameen ]

27. Hazrat Abu Huraira رضي اهللا تعالى عنه ne farmaya ki ek bhediya charwahe ki bakriyo ki taraf aaya aur un mainse ek bakri le li. Charwahe ne talaash karke usse chhuda liya, Raawi ka bayaan hain ki bhediya ek tilee parchadha. Betha, dhum neeche dabayi aur kaha: Maine apni roozi ka iradah kiya joo Allah Talaa ne mujhe de di.Phir Aap ne mujh se cheen li. Uss aadmi ne kaha ki khuda ki qasam maine aaj jaisi baat nahi dekhi. Bhediyene kaha ki iss se bhi ajeeb woh aadmi hain joo Doo (2) pahaado ke darmiyaan Nakhistaan (Madina Sharif) maintumhe MAAZI (Past) ki khabre deta hain aur Joo tumhare BAAD (Future) hoone wala hain. Raawi ka bayaanhai ki woh Aadmi Yahudi tha. Pas Nabi e Kareem ملسو هيلع هللا ىلص ki khidmat main haazir hoo kar ye waqiya arz kiya aurMusalmaan hoo gaya.

[ Mishkaat Sharif, Baabul Mu’jizaat,Dusri / 2 Fasl]

HUZOOR ملسو هيلع هللا ىلص KE ILM E GAIB E ATAAI PAR AITERAAZ KA JAWAAB

AITERAAZ 1. :

Allah ke siwa kisi ko Ilm e Gaib nahi aur Sirf Allah Qayamat kab aayegi ye jaanta hai. Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ko qayamatkis din aayegi iska ilm nahi.

Allah Ta’ala Quran mein irshaad farmata hai:

“Yeh (kuffar) Aap se qayamat ki nisbat daryaft karte hai ki uske qayam hone ka waqt kab hai? Farma de kiuska ilm to sirf mere Rab ke paas hai. Use apni(muqarra) waqt par us (Allah) ke siwa koi zahir nahi karega.Woh Aasmano aur Zameen( ke rehne walo) par bojhal hai. Woh tum par achanak aayegi. Yeh log aapse sawalkarte hai goya Aap uski khoj mein lage hue hai. Farma de ki uska ilm to mehez Allah ke paas hai lekin aksarlog (is haqeeqat ko) nahi jaante.

[ Surah al araf, ayat no:187]

8/2/2016 Allah ki Ataa se Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka Ilm e Gaib | Ahle Sunnat Research Centre

http://ahlesunnatresearchcentre.com/allah­ki­ataa­se­huzoor­%ef%b7%ba­ka­ilm­e­gaib 10/12

JAWAAB:

Motariz Quran ki is ayat se ye sabit karte hai ki Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ko Qayamat ke din ka ilm nahi.

Iska jawaab ye hai ki qayamat ke din ka ilm Zaati taur par sirf Allah ko hai. Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ko Nahi. Quran meinAllah Ta’ala ne ilm e gaib ke talluq se kaee martaba ye farmaya ki Gaib ka ilm sirf Allah hi ko hai. Magar baazmaqamaat par Ambiya ko Ilm e gaib ataa karne ka zikr bhi hai. Pata chala ki Quran mein Nafi aur isbaat donoka zikr hai. Agar koi sirf Nafi ki ayat par imaan rakhe aur Ilm e gaib e ataai ki ayat par imaan na rakhe to wohkafir ho jaayega. Bazahir dono ayaat mein tazaad nazar aata hai magar ye mumkin nahi. Balki dono ayat meintatbeeq yahi hogi ki jis ayat mein gairullah ke ilm e gaib ki Nafi hai woh Allah ke zaati ilm e gaib par dalaalatkarti hai aur Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ke zaati ilm e gaib ki nafi hai. Aur jahan Ilm e gaib ka suboot milta hai waha Huzoor.ke Ataai ilm e gaib ka suboot hai ملسو هيلع هللا ىلص

Chuki Quran ki dusri ayato mein ye farmaya gaya hai ki Allah apne Rasoolo ko Gaib ka ilm ataa karta hai to Ismutalaqan ilm e gaib e ataai mein wuqoo e Qayamat ke din ka ilm bhi shamil hai.

Barhaal, Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ko is khaas waqt ka ilm diya gaya ya nahi is mein ulema ka ikhtilaaf hai. Baaz ulema neAap ملسو هيلع هللا ىلص ke liye ye ilm sabit kiya hai aur baaz ne is ki nafi ki hai. Jin ulema ne nafi ki hai unka matmae nazartanqees e risalat nahi tha balki ye unki tehqeeq hai. Chunaanche hum unhe moride ilzaam nahi tehraate.

Qayamat ka zikr Quran aur Hadith mein kasrat ke saath aaya hai. Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ne alaamaat e Qayamatbayaan farma di hai aur qayamat ke ahwaal wa waqiyaat ka zikr bhi kar diya hai. Is se wazeh hota hai ki Aapko baaz dusri ملسو هيلع هللا ىلص ko wuqoo e qayamat ke waqt ka ilm tha magar baaz hikmato ke pesh e nazar Aap ملسو هيلع هللا ىلصcheezo ki tarah isse bhi parda e ikhfa mein rakhne ka hukm diya gaya.

HUZOOR ملسو هيلع هللا ىلص KE LIYE SAA’AT E QAYAMAT KA ILM QURAN E MAJEED KI IN AYAAT SE SABIT HAI:

Allah Ta’ala farmata hai:

“Gaib ka janne wala to apne gaib par kisi ko musallat nahi karta. Siwaai apne pasandida Rasoolo ke unke aagepeeche pehra mukarar kar deta hai.”

[ SURAH JINN, AYAT NO 26,27]

IS AYAT MEIN ‘AL GAIB ( الغيب)’ SE MURAAD GAIB E MUTLAQ HAI AUR GAIB KI ZAMEER ” ہ ” KAMARJA AL GAIB HAI. JIS KA MATLAB HAI ALLAH TA’ALA TAMAAM GAIBO KO JANNE WALA HAI AURUN TAMAAM GAIBO PAR WOH KISI KO MUTALAY NAHI FARMATA SIWAAI UN AFRAAD KE JIN KOPASAND FARMA LETA HAI AUR WOH USKE RASOOL HAI.

HUZOOR ملسو هيلع هللا ىلص KO ALLAH TA’ALA NE KUL GUYOOB KA ILM ATAA FARMAYA HAI TO QAYAMAT KA ILMKYU KAR KHARIJ HOGA?

1. SHAH ABDUL AZIZ MUHADITH DEHELWI IS AYAT E KAREEMA KI TAFSEER IN ALFAAZ MEIN KARTEHAI:

“Jo cheez tamaam makhlooq ki banisbat gayab hai woh gayab e mutlaq hai jaise wuqoo e Qayamat ka waqt aurBaari Ta’ala ke rozana ke takwini aur har shariat ke sharie ahkaam aur Baari Ta’ala ki zaat o sifaat ke tafseelihaqaaiq. Is qism ko Allah Ta’al ka khaas gaib kaha gaya hai. Pas woh apne khaas gaib par kisi ko mutalay nahikarta siwaai us fard ke jisse woh pasand farma leta hai aur woh fard Rasool hota hai khwaa farishta ho jaiseJibrail عليها السالم ya Insaan jaise Hazrat Muhammad ملسو هيلع هللا ىلص , Hazrat Moosa عليها السالم, Hazrat Isa عليها السالم usseapne baaz guyoob e khassaa par mutalay farma deta hai.”

[ TAFSEER E AZEEZI]

2. IMAM RAAZI FARMATE HAI:

8/2/2016 Allah ki Ataa se Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka Ilm e Gaib | Ahle Sunnat Research Centre

http://ahlesunnatresearchcentre.com/allah­ki­ataa­se­huzoor­%ef%b7%ba­ka­ilm­e­gaib 11/12

“Irshaad e Baari Ta’ala (‘Pas woh apne gaib par kiso ko mutaley nahi karta siwaai apne pasandidah Rasoolo ke)aam nahi hai. Hum usse waqt e Qayamat par mahmool karte hai aur iski taeed is se ho rahi hai ki ye ayat usayat (‘Mein nahi jaanta kya qareeb hai woh jis ka tum se wada kiya jata hai’) ke baad laayi gayi hai. Yaani meinnahi jaanta pas Ayat mein is baat ki dalaalat baaqi nahi rehti ki woh guyoob mein se kisi ki itelah nahi deta balkiis ka maana ye hai ki beshak Allah Ta’ala is gaib par kisi ko mutala nahi farmata. ”

AAGE FARMATE HAI:

“Agar kaha jaaye ki jab Aap is ayat ko waqt e qayamat par mahmool kar rahe hai to Allah ne ye kaise farmadiya (‘Siwaai apne pasandidah Rasoolo ke) bawajood is ke ki woh ye gaib kisi Rasoolo par (bhi) zaahir nahifarmata to hum kahege balki qurb e qayamat ke waqt itelaah farma dega aur ye kaise na ho jab ki usne farmaya(‘Aur us din aasmaan phat kar baadal ki tarah dhuwe mein badal jaayega aur farishte giroh dar giroh utaarejaayege – Al Furqaan, 25) aur is mein shak nahi ki Malaaika ko us waqt wuqo e qayamat ka ilm hoga.”

[ TAFSEER E KABEER, 3:168]

3. ALLAMA SYED MAHMOOD ALUSI FARMATE HAI:

“Aur ye jaiz hai ki Allah Ta’ala ne apne Habeeb ملسو هيلع هللا ىلص ko kaamil surat mein qayam e qayamat ke waqt parmutalay farma diya ho lekin is surat mein nahi ki Aap ملسو هيلع هللا ىلص ka ilm Ilm e Illahi ke muqaable mein aa jaaye magarAllah Ta’ala ne Aap ملسو هيلع هللا ىلص par iska poshida rakhna hikmat ke peshe nazar wajib qaraar diya hai aur ye Aap ملسو هيلع هللا ىلص ki khususiyat mein se hai.”

[ ROOHUL MAANI, 21:113]

4. ALLAMA SAAWI AYAT E KAREEMA “ اعة قل إنما علمها عند اهللا :KI TAFSEER MEIN LIKHTE HAI”يسألك الناس عن الس

“Aur is par imaan wajib hai ki Rasulallah ملسو هيلع هللا ىلص duniya se tashreef na le gaye yahan tak ki Allah Ta’ala ne Aap.ko ye sab Gaib maloom hai ملسو هيلع هللا ىلص ko Duniya wa Aakhirat ke tamaam Gaibo ka ilm ataa farma diya. Aap ملسو هيلع هللا ىلص

[ SAAWI ALAA JALALAIN 2:11]

ALLAMA SAAWI SURAH TUL NAZIAT KI ISSI MAFHOOM KI AYAT KE TEHET LIKHTE HAI:

“Pas ye iske manaafi nahi ki Rasulallah ملسو هيلع هللا ىلص duniya se tashreef na le gaye yahan tak ki Allah ne Aap koduniya wa aakhirat ke tamaam guyoob par mutalay farma diya magar un mein se baaz ko chupane ka hukmdiya.”

[ SAAWI ALAA JALALAIN, 4:289]

5. IMAM QUSTALANI APNI RAAI KA IZHAAR IN ALFAAZ MEIN KARTE HAI:

“Qayam e qayamat kab hoga? Isko Allah ke siwa koi nahi jaanta magar jis Rasool ko usne pasand farma liya tousse apne gaib par jis qadr chahta hai itelah deta hai. Aur wali uska taab’e hota hai usse hasil karta hai.”

[ IRSHAAD US SAARI, 7:186]

HAZRAT ISRAAFEEL عليها السالم KO QAYAMAT KA ILM

Irshaad e Baari Ta’ala hai:

“Aur sur phuka jaayega to sab behosh ho jaayege jo Aasmaano aur Zameeno mein hai magar jisse Allahchahe.” [ SURAH ZUMAR, AYAT 68]

IS AYAT E KAREEMA SE WAZEH HAI KI HAZRAT ISRAFEEL عليها السالمWUQOO E QAYAMAT SE QABLSUR PHUKEGE. AAP KO WAQT MALOOM HOGA TO SUR PHUKEGE.

Posted in Islamic Articles.

8/2/2016 Allah ki Ataa se Huzoor ملسو هيلع هللا ىلص ka Ilm e Gaib | Ahle Sunnat Research Centre

http://ahlesunnatresearchcentre.com/allah­ki­ataa­se­huzoor­%ef%b7%ba­ka­ilm­e­gaib 12/12

Tweet 0

← Q 277. kya Waliallah se… Q 289. Kya mangni ke… →

Search

Recent Posts

KYA HUZOOR ملسو هيلع هللا ىلص KA ZIKR KARNA BHI IBADAT HAI?July 19, 2016

“Gaus e Aazam” laqab par aiteraaz ka jawabJuly 17, 2016

Salam ke baad Imam ka Daayi ya Baayi taraf phir janaJuly 16, 2016

Kya Hazrat Muhammad صلی اهللا عليہ و آلہ وسلم ne Allah Ta’ala ko dekha hai?February 6, 2016

Haath aur Qadam ChumnaJanuary 30, 2016

Mazaraat (Qabro) par aiteraaz ke JawaabJanuary 30, 2016

Archives

August 2016July 2016June 2016May 2016February 2016January 2016December 2015October 2015

Copyright © Ahle Sunnat Research Centre | All rights reserved. | Website Designed & Developed By: Nizami's World Multimedia.

Like 5 Share