114 sawaal o jawaab 08082010

21
http://www.tangali.net Publicatie 114

description

 

Transcript of 114 sawaal o jawaab 08082010

Page 1: 114 sawaal o jawaab 08082010

http://www.tangali.net

Publicatie 114

Page 2: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

Sawaal‐0‐Jawaab met

Assalamu Alaikum wa raHmatullahi Ta'ala wa Barakaatuhu

تعلمون فاسألوا أهل الذكر إن كنتم ال

Tou Ae Lougon Ilm walon se poocho

agar tumhain Ilm nahin

1

8th August 2010 (Madina Munawwarah)

Urdu | Roman | English

Page 3: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

2

Question 1: Yahan germany main khanay peenay ki kuch cheezain aisihain jin k istemal say shayed hi koi gharr khaali ho malsan double rotiwaghaira inn cheezon main kuch aisay chemical daalay jatay hain jodono tareeqon say hasil kiay jaa saktay hain yaani nabatat say bhi aurjanwaron ki charbi say bhi. In ashiya ki packing par kuch likha huanahi hota aisi soorat main kya hukm hay?

Answer: Asl ashiya main taharat hay to jab tak daleel e shara’ee say yaisabit na ho jayai k khaas iss cheez main koi najis cheez ki aamezish hayya yai k yai cheez ban hi nahi sakti jabb tak ke kisi khaas najis cheez kiaamezish uss main na ho. In dono baatoN main say koi aik baat daleele shara’ee say sabit hay to khaas wo shae haraam ho gi. Bay-'Ainihikhaas uss shae ka istemaal naa-jaaez ho ga aur wo naa- paak tehray gi.Aur agar daleel e shara’ee say yai sabit nahi hay mehez aik tarah kishohrat hay jo shorat e shara’eeya nahi hay to iss soorat main uss k naajaaez honay ka hukm nahi dia jaa sakta albatta jo hazaraat Munhaj etaqawaa par gaamzan hain unn k liay yehi hidayat hay k wo apni taqwaki rawish par gaamzan rahain khusoosan wo log jo qaraaen e kaafiyasay yai samajhtay hain aur unn ko ghalib guymaan hay k khaas falaancheez main kisi najis cheez ki aamezish hay to uss k liay yai hukm aurma’okkad hay k aisi cheez say wo parhaiz karain Hukm eaam iss cheezk najis jhonay ka aur napaak honay ka asal e ashiya main jo hukmtaharat hay uss par nazar rakhtay huay aur Umoom e Balwa saybachnay main shadeed harj hay us kay madd e nazar, hukm e aamsaray logon kay liye uss k haram aur naa jaaez aur uss k istemaal saymumaane’at ka nahi ho sakta aur jo log Munhaj e taqwaa par, taqwaaki rawish par gaamzan hain to unn k liay yai hi hidayat hay k apnitaqwaa ki rawish par gaamzan rahain aur khasoosan jin ko shubha eqawiyya hay unn ko hukm moa’kkad hay.

Download

Question 2: Yahan germanay main dawaon k capsule k khol, yaanichilkay k andar gellatin paya jata hay iss maaday ko 100% hi janwaronki haddiyon say jin main khinzeer b shamil hay banaya jata hay iss kbaaray main kya hukum hay?

Answer: Hukm to pehlay mas`alay say zahir ho gaya. Ab agar saboot eshara’ee say aur dalaael e kaafiyah say yai sabit hay to yaqeenan yainaa jaaez o haram hay aur uska istemal ashadd e haram hai, uski ijazatnahi hosaktee aur agar daleel e shara’ee say sabit nahi hay to sabeelahle waraa aur ahle taqwaa k liay parhaiz hay aur hukm e aam uss saymumane’at ka nahi ho sakta albatta iss say bachnay ki aik

Page 4: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

3

soorat yai hay k dawa ko capsule say nikaal kar k khaya jayai to aamlogoN ko b iss say bachna mumkin hay lehaza unn ko hidayat ki jatihay k aisi soorat main jabb k Germany waghaira main jahan masmoo’yai hay k azaadana taur par bud-janwar ka gosht ya uss ki haddi ya naajaaez taur par janwaron ki haddiyon ka istemaal [SHAIQ O ZAIEY ???]hay wahan par unn logon ko yai hidayat hay k wo capsule nikal kar kdawa ko istemal karaiN.

Download

Question 3: Agar jamat k dauraan mobile bajj uthta hay to kya pocketmain ya jahan mobile rakha ho ussay band kar saktay hain jaisa k aapjantay hain k aaj kal ringtone amooman mauseeqi ki shakal mainhotay hain to namaz ka dauran bajnay par namaz ka kya hukm hay?

Answer: Namaz par iss say koi asar nahi ho ga albatta khushoo’ okhuzoo’ par yai asar andaz hay lehaza namaz k dauran pocket main yajahan namaz parh rahay hein wahan mobile ko on na rakehn bulkaymobile ko silent kar dain ya us ko off kar dain aur agar ittefaaqiya taurpar jaib main mobile bajj gya to ishara e khafeefa say, Isharay kzaree’ay say, amal e khafeef say uss ko off kar sakta hay to uss ko offkar lay warna rehnay day agar amal e kaseer ka yai mutaqaazi hay auragar uss ko band karnay k peechay chalay ga to iss soorat main amal ekaseer ki wajah say uss ki namaz bhi faasid ho gi.

Download

Question 4: Hazrat ne pichlay session mein farmaya k Pedaishi NabiChand huay. Jub k ham ne bachpan hi se suna k Har Nabi PedaishiNabi hota hay. Iss baaray mein kch wazahat farma dein!

Answer: Mujhay iss silsilay main jo ma’loom tha aur jo aayaat ekareema ki saraahat say maloom hay wo hazrat Eesaa alaihisalat owassalam k baaray main tasreeh hay k ALLAH tabarak wa ta’alaa naymujh ko nabuwwat ataa farmaee aur mujh ko haalat e bachpan mainhaalat e [SIBA ??] main nabi kia aur deegar anbiya e kiram k baaraymain yai hukm meri daanist main nahi hay siwayai Sarwar e ambiaHuzoor e Sarwar e aalam Sallallaho tabaraka wa ta’alaa alaihewassallam, k Unn ko nabuwaat e aammaa ataa ki gaee aur saarayambia say pehlay aap ko nabuwat ataa hui aur yai nabuwwat aap kaalam e ajsaam main tashreef laanay say pehlay aap ko ataa hui jabb k

Page 5: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

4

aap ki rooh jo awwal e makhlooq hay ALLAH tabaraka wa ta’alaa nayjab iss aalam e eejaad ko rooh MUHAMMADI say musharraf farmayajabhi say Aap nabi hain aur iss par aayat e kareema ہ ميثاق النبين  ذ اخذ الل ا و

jis ka tarjuma main nay pichlay session main kia tha aur muta’addidiss ma’anaa ki hadeesain jis main yai farmaya k main b nabi tha jabb kadam ka khameer b abhi tayyar nahi hua tha aur iss ma’naa par huzoorki khasoosiyat Sarkar ki hay aur iss ma’naa par hazoor ki khasoosiyatyai hay k wo nabi bi-kulli ma’nal kalima nabi hain, who nazaarat kaetibaar say, (darr sunanay) k aetibar say b saaray aalam k Nabi hainaur saaray aalam, aalam e eejaad k iss ma’na par nabi hain k ALLAHtabaraka wa ta’alaa nay bo-wasta MUHAMMAD ur RASOOLULLLAHsallallaho tabaraka wa ta’alaa alaihe wassallama ko apnay noor saypaida farmaya to martaba e wajood mae ALLAH aik aur martaba eeejaad main MUHAMMAD UR RASOOLLULLAH aik aurMUAHHAMD main aur ALLAH main koi wasta nahi hay isi liye (1stKalimah) ALLAH k siwa koi ma’bood nahi aur MUHAMMAD ALLAHk RASOOL hain yai kalma jaisay hamara hay waisay hi agli ummatonka hay waisay hi yai kalma ADAM say lay k EESAA tak sabb ka yahikalma hay. Ala-Hazrat isi liye farmatay hein:

Ambia say karoon arz kyon sahibo, kyanabi hay tumhara hamara Nabi Jaisasabb ka khuda aik hay waisay hi, inn kaunn ka tumhara hamara Nabi

To (Nazarat) k aetibaar say b wo nabi haiN unn ki nabuwwat sabb koaam hay aur aalam e eejaad k liay wo wasta haiN saaray aalam e eejaadka. insanoN ka, jinnon ka, farishton ka, aglon ka aur pichlon k liay wowasta hain iss ma’na par b wo RASOOL e Aam hain.

Unn ki Nubuwwat, unki Ubuwwat hai sub ko AamUmmul bashar, Aroos, Unhi kay Pisar ki hai --- (Ala-Hazrat)

To wo Rasoolon k RASOOL hain NABION k RASOOL hain aglon krasool hain pichlon k rasool hain yahan takk k khud apnay Rasoolhain. ALLAH Tabaraka wa Ta’alaa nay uss rooh e MUHAMMADI kojism e MUHAMMADI jabb banaya to ALLAH tabaraka wa ta’alaa nayuss ko uss ka rasool b banaya. Meray nazdeek yehi ma’naa hay joMohaqqaq hay aur iss ki mazeed tehqeeq iss mauqay par nahi karsakta. Hazrat Allama Imam TAQI ud din ibn abdul kaafi subukirehmatullah ta’alaa alaih nay fatawa Subukia main aik risala iss k liaylikha (Al Tazeem wa al-Minna) aur iss aayat k azeem nikaat aur bayshumaar fazaael zahir kiay jis ko a’laa hazrat nay (Tajalli al-Yaqeen)

Page 6: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

5

main unn ka zikr farmaya hay jis ko mutaala karna hay uss kamutale’aa karay.

Download

Question 5: Presently, I am hanfi and i want to convert myself toshafai maslak so is it jayaz to do so?

Answer: Not Allowed!!

Download

Question 6: Can we use credit card? I heard an Aalim saying thatwhen u sign the credit card application, u accept that u will payinterest if u pay money after the given time,so when u accept a haramthing (interest) then u cannot use credit card it, is not allowd! whatsthe fact? Hazrath pls give us ur views?

Answer: I cant elaborate this masla in this short meeting and itrequires more time and more concentration and it requires to beconcidered attentively however it is not advisable to have the creditcard. if it is avoidable, people must avoid !!!

Download

Question 7: Aik Email ko bohat aam kia ja raha hay k Sarkar nefarmaya, Qayamat k Din Quran se Barra koi Shafee nahin hoga, Na koiNabi na hi koi Farishta. Email mein iska koi Hawala nahin dia jata. KyaHuzoor aapki nazar se Yeh Hadees guzri hey? mazeed is ki Thowjeehfarma dein!

Answer: Muhjhay sar e dast hadees k alfaz yaad nahi hain fazael eQUR’AN main aur abhi sharh e burda ki tasjeel aur uss ki audiorecording ka ittefaaq hua uss waqt fazaael QUR'AN main koi mazmooniss qism ka main nay suna laikin yai alfaz wajib ut ta’zeer hain iss liay kQUR’AN ALLAH tabaraka wa ta’alaa ki sifat hai, aur jis tarah ALLAHtabarak wa ta’alaa ki zaat wajib ul wajood hay aur (mumtan) uttaghayur hay aur (Mumtan ul Fina) hay isi tarah uss ki har sift wajib ulwajood hay, azali hay, abadi hay. ALLAH ki zaat iss

Page 7: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

6

say munazza hay kay who kisi ka Shafee banay ya kisi ka Waseelabanay. Isi taur per us ki sift b iss ma’na say munazza hay. Albatta yailafz agar kisi hadees main aayaa hay to zaroor wajib ut tazeer hay. Sare dast mujhay iss silsilay main itna hi yaad hay aur jeddah main yaisawal mujhay sunaya gya tha, mujhay mauqa nahi mila k main woaudio recording chalwa kar sun laita agar kisi mauqay par mujhaymauqa mila to iss ki mazeed tafseel kardoonga.

Download

Question 8: TV par ya Kisi Majlis mein Jub jub Sarkar Kareem AlaihiafDalus Salati wat Tasleem ka Ism-e-Girami kaha jaey, har martabaDurood Sharif parrhna wajib hoga ya Aik Majlis mein aik martabaDurood Shrif parrhna Wajib hay?

Answer: Hazrat Imam e Karkhi – ghaliban, unn ka mazhab yai hay kjabb jabb sarkar ka naam aaey, har baar sarkar par durud shareefpaRhna, durud bhaijna aur salam bhaijna wajib hay aur mutaddidahadees jin mae huzoor e sarwar e aalam sallallaho tabaraka wa ta’alaaalaihe wassallama say yai mazmoon aayaa k wo bakheel hay aur wo badnaseeb aur uss k liay doori aur mehroomi ki wa’eed aayi uss ka taqazayehi hay k jabb jabb sarkar ka naam aayai durud shareef bhaijay abdurud shreef paRhna yai zaban say b hota hay aur dil say b hota hay.Zaban ko agar harr waqt junbish nahi day sakta hay laikin dil saydurud shareef parhna, iss say koi mana’e nahi hay siwayai aadmi kashkaal o khyalaat aur wasawis aur ghaflatein, yai maanae’ ho saktihain aur Sarkar ka naam sunay aur dil main durud shareef na bhaijayiss say ba zahir koi manae’ nahi hay, albatta sahoolat k liay awam ki yaihukm ho sakta hay k yai hukm khaas aik majlis ka hay k uss majlismain baar baar sarkar ka naam aayai to kam say kam zaban say aikmartaba durud shareef paRh lay aur dil say ghaafil na rahay aurhuzoor ka jabb jabb naam aayai huzoor par durud shareef dil mainbhaijay.

Download

Question 9/10: Imam Musafir hay aur Muqtadi Muqeem hay aurMuqtadi Farz Namaz parrh chuka hay aur4 rak'at wali Jama'at meinnafil ki nyyat se shamil hona chahay tou wo kitni rak'at ki Niyyatkarega?

Answer: Shamil honay ki niyyat to judagana nahi hay musafir kpeechay agar muqeem nay iqtada ki to hukm yehi hay k wo apni chaar

Page 8: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

7

paRhay ga. Do rakat uss k saath parhnay k baad ab yai baaqi teesri aurchothi hay, uss main uss ko kuch parhna nahi hay baqadr e soorah efateha jitni dair tak parhi jati hay utni dair tak khamosh khara rahayaur badastoor ruku’ o sujood kar k aakhir main namaz apni attahiyaatwaghaira parh kar k slam phair kar k poori kar lay.Arz: Imam Qasr Parrhega aur Muqtadi Muqeem hay aur Farz parrhchuka hay tou ub Jama'at mein 4 rak'at ki niyyat se shamil hoga ya 2rak'at ki?Irshaad: Iss main to chaar rakat ki niyyat theek nahi iss liay k do rakatmain wo munfarid ho jayai ga lehaza do rakat ki nafal ki niyyat sayshareek e jamaat hojaey !!!

Download

Question 11: Islami Libaas ki wazahat farma dein. Islami Libaas se kiamurad hay?

Answer: Islami libas koi specific aur mo’ayyan libas nahi hay har mulkka aur harr jagah ka aisa libas jis main fussaaq, fujjaar aur kuffaaryahoodi, nasraani ya mushrik, majoosi uss wazaa main shareek na honaur waza’ aisi aam na ho balkay wo libas uss jagah k sulahaa, ulamawaghaira ka libas ho wo harr jagah ka islami libas hay.

Download

Question 12: Namaz mein Ayat-e-Sajda parrhi aur Sajda karna bhoolgaya tou ub kia karay? Namaz lotani hogi ya alag se Sajda kar le?

Answer: Namaz lauTanay ka hukm nahi hay yai masla daikha jayai toagar uss nay ayat e sajda paRhi aur sajda karna bhool gya to ab sajda etilawat ghair e namaz main adaa ho ga ya nahin.

Download

Question 13: Yahaan UK me log khete he kyu ke Isha ki namaaz kawaqt nahi he tho Isha ki adaa maghrib ke 1 hour 30 minutes ke baadpar sakhte he. Kya ye sahi hay?

Answer: 1 ½ ghantay k baad ki harr zamanay main ta`eyun, yai baatsamajh main nahi aati hay albatta iss soorat main andazay ka hukmhay. Uss hadees ki wajah say jis main huzoor e Sarwar e aalamsallallaho tabaraka wa ta’alaa alaihe wassallama ne qareeb e qayamatjab dajjal zahir ho ga aur zamana qareeb ho jayai ga yahan takk k saal

Page 9: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

8

ko farmaya k aik din ya iss taur par tou sahaba nay poocha k namazonk liye hum kya karain, farmaya k namazon ka andaza rakho k jin dinonmain tum namazain parhtay thay unn k liay aik waqt muqarrar kar loaur yai samajh lo k yai khaas iss namaz ka waqt hay iss taur par yahanpar bhi andaza muqarrar kar k namaz parhain, ummeed hay kINSHAALLAH uss waqt main wo namaz adaa ho gi.

Download

Question 14: Kia larrka apni Mangetar se Elehdgi mein mil sakta hayya donu sath kaheen bahir ja saktay hain aur kiya who mobile per usse baat ker sakta hai?

Answer: Alehdagi main milnay ki ijazat nahi youn hi donon ka saathjana mutlaqan harr haal main, iss ki b ijazat nahi ho sakti aur zarooribaat mamooli taur par uss ki ijazat ho sakti hay jabb k zaroorat daa’eeho ya hajat e shadeeda ho aur wo na ho to uss say ehtiyaat behter hay.

Download

Question 15: Kia har Shakhs k liye alag Ism-e-Azam hay? Mera NaamHamid Raza Khan hay? Meray liye Ism-e-Aazam ata farma dein?

Answer: Hamid raza khan k a’adaad nikaal kar k ya aap k yahan agarkoi sahib ilm ul a’adaad nikaal kar k unn k mutabiq jo ism e azam aikya do banay wo aap ko bata dain unn ko aap parhiye.

Download

Question 16: Jub Imam ne pehlay Salam k liye AsSalamu Alaikum waRaHmatullah pura na kaha ho. aur koi uss waqt Jama'at mein shamilho tou waqi'atan usay Jama'at mili ya nahin?

Answer: Jamat nahi mili namaz poori ho gaee.

Download

Question 17: What is Ilm-e-Da'wat? I heard that one needs to learn itto write the naqsh in Majmua Aamaal-e-Raza. Can Hazrat teach it? Ifnot, is there any book available in English in which i can learn it?

Answer: Inn ko bataeeyai k namaz roza k ahkaam aur jo shariat k

Page 10: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

9

zaroori ahkaam hain unn ki taraf dhyaan dain aur yai aap k liayadvisable nahi hay !!!

Download

Question 18: In our city there is only one hafiz and he does not keep abeard, can we perform taraaweeh namaaz behind such an Imaam?

Answer: Not allowed.

Download

Question 19: kya agar ladki walay kushee sai car ya bike shadi maidein to usay lai sakthai hain?

Answer: Agar khushi say wo log daitay hain to iss parr kisi ka ijaranahi hay aur musalmaan apnay musalman bhai k saath koi b salookkaray aur uss ko koi tohfa day, behtar hay acha hayةیادهلا ال درتhadiyae wapis nahi kiay jatayaur hadees main yai b hay kادهت و بحتhadiya do takey aapas main muhabbat barhayyai behtar hay aur acha hay aur dainay walay ko b sawaab milay galekin iss par jabar karna jis taur say aaj kal raaej ho gya hay yai naajaaez hay !!!

Download

Question 20: Kisi Gayr Muslim Company ya Bank mein accountant kijob karne ki ijazat hay jismei interest ka record bhi manage karna hotaho?

Answer: Company ho ya bank ya koi idara ho wo uss main jaaez naukrijaaez shart k saath jaaez hay aur naa jaaez kaam par naukri, mulazimatya uss main koi naa jaaez shart ho, yae naa-jaaez hay aur interest kahisaab manage karna paray ga to iss silsilay main mutlaqan adam ejawaz ka hukm nahi ho sakta albatta koi saahib bachna chaahain tounn k liay mashwara yai hi hay k bachain !!!

Download

Page 11: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

10

Question 21: Aksar Auqat Barish ki wajah sey road per pani jama hojata ha aur main office bike per jata hon jis ki wajah sey chantey perjati hain choon key kapron per mukhtilif jaga per chantey pertey hainaur hawa key sath baz o qat sokh bhi jatey hain kiun key Namaz bhipherni hoti hai aur keprey change bhi nahi ker sakta is liyeh main unhikepron sey namaz ada ker leta hon aur sham ko wapis gher ja kerkaprey change kerney ke bad wo tamam namazon ka I’ada kerleta honkia yeh sahi yehi? ager yeh tareekah sahi nahi ho to barai e maherbanikoi hal ataa fermaiyeh.

Answer: lauTana yai Ehtiyaat ki gharz say hay aur sarak ki keechar kcheentay agar parr jayain ya wo badan ya kapRay pe jayain, uss mainwohi hukm hay amoom e balwa ki wajah say aur uss say taharruz aurijtinaab dushwar hay naa-guzeer hay iss wajah say, aur yai k jabb takkk bay-ainhi kisi najis ki aamezish maaloom na ho uss k naa paak honayka hukm nahi ho sakta in wajooh say namaz sahi hay aur lautanay kizaroorat nahi hay !!!

Download

Question 22: Kia koi apnay sagay bhai ko Khoon de sakta hay?

Answer: Sagaa bhai ho ya sautela ya koi aur ho khoon aap ki milkiyatnahi na khoon aisi cheez hay jis main daina laina jaari ho yai ALLAH kiamanat hay jo aap k badn main waddiyat rakhi gaee hay hay, iss kaistemaal aur iss ko bahana raaegaan taur par kisi ko diay baghair aapkhud b yai nahi kar saktay k apnay khoon ka aik qatra youn hiraaegaan baha dain, daina to aur bari baat hay iss ki ijazat nahi hosakti.

Download

Question 23: Kisi shakhs ko paishab k qatray girnay ki takleef ho woahraam ki haalat main sili hui underwear pehen sakta hay?

Answer: Sili hui underwear agar pehnay ga to sadqa day ya agar woaik peher ya do peher agar wo pehnay raha to damm day.

Download

Question 24: shohar ne apni bibi se kaha agar tu apni maa ke ghargayi to tujhe talaq. Aurat apni maa ke ghar chali gayi to talaq hui kenahi?

Page 12: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

11

Answer: Iss soorat main jaisee talaqain iss shart par mua’llaq keen,jaisi aur jitni talqain wo waqe’ ho jayain gi aur agar youn hi kaha hay ktujhay talaq to aik talaq e raj’ee parr gaee ab iss k baad do talaq kamaalik hay jabb kabhi do talaqain day day ga aurat nikah say baahir hojayai ga aur bay halalaa iss k liay halal na hogi.

Download

Question 25: when the muazzin is reciting iqaamat, when should westand up for salaah, when he says, "hay'ya alas-salaah", orwhen herecites "qad-qaamati salaah?"

Answer: You are commanded to stand up when moa’zzin say hayyaallal falah !!!

Download

Question 26: kya huzoor hujjatul-islam (alaihir rahma) ne koi naathkitaab publish ki he, aur agar han tho unke kitaab ka naam kya he aurkya mujhe ijazat he ke meunke kalaam paru?

Answer: Unn k kalam parhnay ki bila shubha ijazat hay huzoor ehujjat ul islam ka baishtar kalam zaya ho gya. Arabi main b main bunn ka bohat kalam tha aur urdu main b unn ki bohat saari naatiashaaeri hay laikin ab chand naatain jo QABALA E BAKHSHISH knaam say kitab meelaad khanon k paas milti hay uss main wo chandnaatain huzoor e hujjat ul islam milti hain.

Download

Question 27: aur kya ala hazrat (alaihir rahma) ke naat kitaab,haadaiq-e bakhshish, huzoor mufti e azam e hind (alaihir rahma) kenaath kitaab, samaan-e-bakhshish aur huzoor taajush shariah kenaath kitaab safeena-e-bakhshish senaathia qalaam parne ki ijazathay?

Answer: Ijazat hay !!!

Download

Page 13: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

12

Question 28: koi maghrib ki namaz me last rakat me shamil hoa aurusne bachi hoi do rakat me se ek rakat me alhamd ke bad surat nahinmilaee aur usne sajdah sahv bhi nahin kia to kia uski namaz hogi yanahin? jab ke woh uzer pesh karta hai ke usko maloom nahi thaa aurusne us waqta namaz nahi ada ki to kia uspar us namaz ki qazaa wajibhai ya nahin?

Answer: Namaz ka ae’yada karay namaz ho gaee !!!

Download

Question 29: Is it permissible to let the children watch cartoonmovies?

Answer: Not Allowed!

Download

Question 30: Lougon mein Mash'hoor k Aurton aru Mardon parBuzurgon ki Sawari Aati hay. Iss ki kia haqeeqat hay?

Answer: Iss ki koi haqeeqat nahi hay bazurg kisi par nahi aatay haiN.

Download

Question 31: Fi Zamana Mehar kitna hona chaiye aur sonay (gold) kisurat me bhi mehar ada ho sakta hai?

Answer: Sonay ki soorat main b meher adaa ho sakta hay aur meher kliay hadees main farmaya k "dass dirham say kam na ho" dass dirhamchaandi k unn ka wazan bahar e shariat main jo iss waqt mujhay yaadnahi hay uss wazan ki chaandi ya uss ki qeemat jo rupay bantay hainuss say kamm nahi hain !!!

Download

Question 32: Hamare masjid ke imam, Doa me Shajra Shareef padhtehain. Shajra shareef ke aakhir me wo ye sher milate hain: "Tu MujheIlmo Amal Ki Taufeeq De, Taufeeq De; Ya Ilahi Mujh Muneer EBenawa Ke Waste"... Yahan ke muqtadion ko doa me "Mujh Muneer EBenawa Ke Waste" kahne par etraz hota hai. Muqtadion ka kahna haiki imam sahab apne naam ko shajra me na daalen aur sirf "Mujh

Page 14: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

13

Benawa Ke Waste" padhen taake muqtadion ko is par Aameen kahneme koi hichkichahat na ho. Imam sahab, doa me jo sher padhte hainuske bare me Hazrat kya farmate hain?

Answer: Aitiraaz ki koi wajah nahi hay wo khud hi uss main bay nawakehtay hain aur muqtadi mmujh bay nawa b keh saktay hain.

Download

Question 33: Masjid me jo Qur'aan Shareef, Para set, Musalle wagheraBahut ziyada Tadad me jama ho jate hein, kya unhein Gareeb logo meTakseem kar sakte hein? [Har saal Bil Khusus Ramzanul Mubarak melog kafi Tadad me Masjidon me ye Tamaam cheesein sawaab ki niyyatse rakhte hein] Agar Gareebon mein Takseem ki jayegi to wo log iseestimaal kareinge, aur rakhne wale ko iska sawaab milega? Kya AamNamaazi Mard/Aurat ko bhi de sakte hein ya nahi?

Answer: Yai cheezain masjid main jin logon nay rakheen ab yai masjidki cheezain ho gaeen, aur yai masjid k auqaaf e manqoola main say hogaeen. Ab jo cheezai masjid k laaeq k istemaal na raheen, na fil haal nafi saan il haal. Na ab istemaal ho sakti hain na near future main uss kistemaal ki koi ummeed hay, hsko wajibi qeemat par baich dainachahiyai.

Download

Question 34: witr ki Namaaz me Dua-e-qunut k baad Durood ShareefPadhna chahiye ya nahi?

Answer: parhna chahiyai aur parh saktay hain,

Download

Question 35: Tashahhud se Pahle Tasmiya padha to kia Sajda Sehvkarna hoga?

Answer: Haan q k ba qadr e teen baar subhanALLAH kehnay kimiqdaar wajib main taakheer hogae aur itni taakheer sajda e sehv kimaoojib hay.

Download

Page 15: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

14

Question 36: Aaj kal Akhbarat mein bohat tasaweer hoti hain. Kia innAkhbarat ko khareedna aur parrhna aur inn ko Ghar, Masjid yaMadrisay mein rakhna theek hay?

Answer: رومالا اهدصاقمبshariat ka qaaedah hay aur yai qaaedah uss hadees say makhooz hayjis main sarkar nay farmayاامنإ لامعألا تاينلاب ٬ امنإو ام ئرما لكل ىون ٬ نمف تناك هترجه ىلإ اينداهبيصي وأ ىلإ ةأرما اهحكني هترجهف ىلإ ام رجاه هيلإ“Aa’maal ka aitebaar unn ki niyyaton say aur harr shakhs k liay wohihay jo uss nay niyyat ki phir iss pr farmaya k jis ki hijrat ALLAH auruss k RASOOL k liay hay uss ki hijrat ALLAH aur uss k RASOOL k liayhay yaani uss ki hijrat maqbool hay aur jis ki hijrat madinay ki taraf saymakkay say ya kisi dar ul harb say dar ul islam ki taraf aayaa iss liay kwo kisi aurat say shadi karay ga ya maal kamayai ga to uss ki hijrat ussitaraf hay jo uss nay niyyat ki"yahan say ulama nay yai qaaeda itibadaa kiaرومالا اهدصاقمبkaamoN main unn k maqaasid ka aitebaar hay agar maqasad acha hayto wo kaam acha hay agar maqsad bura hay to wo kaam bura hay agarmaqsad haram hay to wo kaam haraam ho ga agar maqsad mustahabhay to wo kaam mustahab ho ga akhbarata main logoN ko agar ibitidaahay aur unn ki jaaez hajataiN uss say wabasta haiN to iss soorat mainjis maqsad k liay logoN nay akhbaar khareeda uss maqsad k aitebaarsay uss ki khareed par hukm lagay ga agar maqsad wohi hay k unn kjaaez maqaasid pooray hoN to jaaez hay akhbaar beeni jaaez hay agarmaqsad yai hay k tasaaweer ko daikhay raghbat say aur naa jaaez baysharmi tasaaweer ko dilchaspi say daikhay to haraam o naa jaaez haywo akhbaar k zaree’ay say ho ya album k zaree’ay say ho ya kisi aurzaree’ay say ho.

Download

Question 37: Aksar American aur British Medicines mein Alcohol kiAamezish hoti hay. Unka Isti'mal karna kesa? kch Ulama isy Umoom-e-Balwa mein Shumar kartay hain. Hazrat ka kia mo'qaf hay?

Answer: Mutlaqan Amoom e balwa main shumaar karna jaaez nahihay. Amoom e balwa ka matlab yai hay k common k koi cheez commonho jayai aam ho jayai yai hay amoom aur balwa k ma’nay hainmuseebat k amoom e balwa yai do cheezoN ki khabar daita hay aik toyai museebat hay ibtilaa hay aur doosra yai k yai museebat aam hay jissay bachna mushkil hay agar aisi soorat e aamaa harj ki paida ho jayaito uss k istemaal jaaez o mubah ho ga aur zahir hay k yai

Page 16: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

15

soorat e aamaa nahi hay balkay log bay parwah ho gaey hain aurharaam o halaal ki unn ko parwah nahi hay aur ilaaj hazaar jagah sayho sakta hay laikin jaldi hay k jaldi say bukhaar utar jayai aur jaldi sayuss ki mamooli takleef door ho jayai harr shakhs ko jaldi paRi hui hayiss bina par inn dawaaoN ki ijazat nahi ho sakti jabb k doosri halaldawayaiN maujood haiN aur unn ko istemaal karna muyassar hay aurunn say faaedah mumkin hay balkay waqa’e hay iss soorat main yaiamoom e balwa nahi hay balkay haan sachi sachi zaroorat ho ya hajat eshar’eeaa ho jis k sabab tabeeb e haziq muslim yai kehta ho k agar yaidawa istemaal na ki to jaan chali jayai gi ya marz acha nahi ho ga yamarz baRh jayai ga agar tabeeb e haziq muslim wo kehta hay aur koihalal dawa kargar nahi hay uss soorat main iss ki ijazat hay.

Download

Question 38: Kuch loog Nafil namaz ko baith kar parte hai is waja se keSarkar Sallallahu Taála AlaikaWasallam ne baith kr ada ki? Kya ye sahihai?

Answer: Sahi hay laikin hadees main yai b aayaa hay k khaRay ho karjo namaz paRhay uss ki nisbat baiTh kar namaz paRhnay walay kasawab aadha reha jata hay lehaza hadees e qauli par amal kartay huaykhaRay ho kar namaz paRhay to sunnat par b amal ho ga aur hadees eqauli k irshad k paish e nazar wo namaz paRhay ga to uss ko poorasawab b milay ga !!!

Download

Question 39: Kch loug agar unn k ghar Fotgi ho jaey tou khana wagerapakanay k liye bhi Choola nahin jalatay. Iski kch haqeeqat ya Asl hay?

Answer: Iss ki koi asal nahin.

Download

Question 40: Daanton mein jo aaj kal Taar lagaee jati hay uska kiahukm hay? Kiun k wo removable nahin hoti tou kia Wuzu ya Ghuslmein koi farq aaega?

Answer: Agar daanton main iss qism ka taar lagwana naa guzeer haydaanton ki hifazat k liay ya kisi takleef ki wajah say to ab wo taar ussuzv k qaaem muqaam ho jayai ga jis k dhonay ka hukm hay aur wuzumain to wo mutlaqan wuzu ho jayai ga iss liay k wuzu main mazmazaa

Page 17: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

16

sunnat e moakkada aur iss soorat main agar pooray taur par wo sunnatada nahi hui to iss wajah say wuzu ki sehat par to koi asar nahi paRayga wuzu ho jayai ga ab aa gaee ghusl ki baat agar ghusl uss par farz hayaur yai soorat hay k uss taar ko nikaalna muzir hay sakht uss mainharaj hay sakht takleef hay to aisi sooratoN main jo cheez daantoN kandar main lagi reh jaayai to wo maane’ ghusl nahi hay aur uss sayghusl ki sehat par koi asar nahi paRta ghusl ho jayai ga.

Download

Question 41: Bank account khulwane ki jaiz aur na-jaiz amoomisoorten kia hain? Yani kin soorton main is k jawaz ka fatwa hai aur kinmain na jaiz hai.

Answer: Itni gol baat ka koi hukm nahi ho sakta hay jin sahib ko jaaezo naa jaaez ko soorataiN maloom karna hay wo fatawa razaviyyah, Kiflal Faqeehil Faahim aur Ahkaam e shariat waghair bankari k masaaeljahan par tafseelan byan kiay hain unn ka mutaleaa kraiN !!!!

Download

Question 42: Ager kisi bank ka malik gher-muslim ho to us main bankaccount khulwana kesa hai?

Answer: Bank account khulwana jaaez hay iss wajah say k wo ghairmuslim hay bank account naa jaaez nahi ho ga.

Download

Question 43: Sood kia hai? Is ki hurmat ki kia wajah hai? Koi daleelinayat farmayen.

Answer: Sood muslman aur musalman k darmyan ya muslamn aurzimni kafir k darmyan maal e masoom main hota hay to uss kihaqeeqat yai hay k shart k taur par aik rupya day kar k kahay apnaymusalman bhai say ya zimni kafir say k iss k badlay do rupay looN gato yai jo doosra rupya zyada lay raha hay yai zaati kisi iwaz k muqabilnahi aur aisi zaati jo kisi iwaz k muqabil na ho wo na jaaez o haramhay. harr wo qrz jo kisi manfa’at ko khainch kar layai wo sood haymusalmanoN k darmyan aisi mualmlat naa jaez o haram o sood hayussi taur par yai byan ki gya shart k taur par ho aur agar inaam k taurpar aap nay kisi ki madad ki aur aap nay uss ko baghair shart k qarzday dia apnay musalman bhai ko uss nay khush ho kar 100 rupay k

Page 18: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

17

bajayai 101 rupay wapis kar diay to yai aap k liay halal o tayyab aurkhalis mubaah hay aur agar shart k taur par musalman nay yai maamlakisi kafir say kia aur ab dunia k parday par koi kafir zimmi nahi sabbharbi hay aur uss nay shart k taur par yai maamlay kia k main 10 k 20looN ga to yai sood nahi hay iss liay k sood ki shart yai hay k maal emasoom ho aur dealing main saamnay musalmaan ho aur yahan parsaamnay musalman nahihay ghair e muslim hay aur uss ka maalmasoom nahi hay lehaza yai jaaez aur khaalis mubah hay aur yai hihukm daak khanoN ka bankoN ka aur kafiroN ki companioN ka ay kunn say baghair bad ehdi k khalis unn ki raza mandi say jo kuch milaywo khalis mubah hay haaN bad ehdi yai hamaray nazdeek aur hamaraydeen e islam main kafir k saath b jaaez nahin hay k uss say mua’hidakar k uss ka ehad toRa jayai lehaza agar kisi say koi cheez khareedi toyai aik mua’hida hay aur yai agreement hay aur khareednay k baad ussko uss ko ghafil rakh kar k kisi taur par uss ki saman adaa nahi ki to womaal uss musalman k haqq main halal nahi ho ga.

Download

Question 44: Due to illness zaid paid bakar to do hajj e badal and hajjwas performed for zaid then after a few years zaid regains his health ishajj still fard on zaid or is the hajj e badal sufficient for him?

Answer: I think zaid must perform hajj in this case.

Download

Question 45: hamare gaon me eid ki namaz eidgah me budmazhabpadata hai, aur yaha per koi dusra eidgah bhi nahi hai, aur hum sunnilog chahte hain ke eid ke din 1 khala maidan hai usko 1 din ke liye rentper le kar waha per namaz padhna chahte hain , kya hame iss ki ijazathai?

Answer: gaoN main iss ki ijazat nahi ho sakti iss liay k eidain aurjuma’ gaoN main qaayem karna jaaez nahin.

Download

Question 46: Telephone par Nikah k ki jawaz koi soorat hay?.

Answer: Yai pehlay b poocha jaa chuka hay yai sawal mukarrar haytelephone par nikah ki soorat samajh main nahi aati. Telephone par

Page 19: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

18

agar laRkay aur laRki nay eejaab o qabool kar lia to yai nikah nahi hoga yai nikah aisay hi hua jaisay k aik kamray maiN laRka aur laRki kehdaiN k main nay tum say shaadi ki wo keh day k main nay qabool kiaال دوهشب الا حاکنhadees main farmaya k "nikah sahi nahin magar gawahoN k saamnay"aur gawahoN ki shart ki requiremant yai hay k eejaab o qabool aikmajlis main ho uss k liay ittehaad e majlis zaroori hay aur gawahoN ksaamnay ho aur jo gawah samajh rahay hoN k yai nikah ho raha hayagarche gawah arab hoN aur nikah karnay walay hindustani yapakistani hoN k yai dono nikah kar rahay haiN aur unn ki maujoodgimain sahi aaqil baaligh nay eejaab o qabool kia to nikah ho jayai ga abmaslay ki taraf aayiyai k telephone main iss k sahi honay ki kya soorathay soorat yehi hay k laRki ya laRka wakeel kara day doosri taraf kaadmi k mera nikah falaaN say kar do ya main nay tumhaiN wakeel kiak tum apna nikah mujh say kar lo wo majlis e aqd main yai keh day kfalaan nay mujhay nikah ki ijazat di hay aur apni wakalat say gawahoNk saamnay wo uss ki taraf say eejaab karay aur doosra qabool karay toyai nikah ho jayai ga !!!

Download

Question 47: I have taken home loan from multinational Bank in Indiafor which I repay bank with equal monthly installement. And i havemade some saving in bank. So is zakaat applicable on my savingthough there is huge loan amount pending on me? Well personally ipay zakaat for all my savings.

Answer: Agar uss ka koi share ka poora ka poora ka maal wo qarz kandar ghira hua hay aur kuch faazil nahi hay ba qadr e nisaab jis ki wozakat adaa kar sakay to usspar zakat nahi hay aur agar yai soorat nahihay balkay wo qarz daar hay laikin qarza adaa karnay k bad b uss kamaal ba qadre nisab baqi reh jata hay to uss par zakat hay.

Download

Dua and Names of those who entered Silsila Aaliya Qadiriyah

DUA· Ilm o Amal, Shariat ki Pabundi aur aur Iman par Khatimay k liye

Dua.· Tamam Ahbab ka Salam Sarkar ki Bargah mein Pesh farma dein aur

Sub k liye Sarkar ki Shafa'at ki Arz.· Muhammad Nisar Ashrafi par Heart Attack hua hay. ICU mein

Page 20: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

19

hain.· Abdur Razzaq Baladiya k Gurday Fail ho gaey hain.· Gulam Owaisi Qarani k Walid Sakht Aleel hain. Inn sub k liye

Sehat ki DUA farma dein.· Rehana Naeem ki Jaiz Maqasid k liye DUA.· Naeem k Rozgar k liye DUA.· Madrisa Ghousiya k liye Khusoosi DUA farmaen. Iss Madrisay ko

ALLAH Ta'ala Maslake-AlaHazrat ka Tarjuman banaey aurAhleSunnat ka kaam ho.

Bay'at:· Noor Hussain· Rehmat Bibi· Sagheer Ahmad· Yasir Arafat· Muhammd Hamid· Muhammad Tahir Sagheer· Muhammad Hussain· Ayesha Bibi· Saima· Siddiqa· Muhammad Bilal· Kaneez Fatima· Zainab Bibi· Maryam Bibi· Sobia Bibi· Noreen Akhtar· Qarrena Bibi· Tayyaba Bibi· Nasreen Bibi· Muhammad Basheer· Syeda Shaheen· Parveen· Syed Arshad Ali· Syed Sabir Ali· Syed Tahir Ali· Syed Aamir Ali· Syed Asad Ali· Syed Kashif Ali· Syed Kashan Ali

Page 21: 114 sawaal o jawaab 08082010

www.tangali.net 17 augustus 2010

· Syed Mu'azzam Ali· Fatima Bibi· Naila Kausar

Download

20

* Ooper likhay gaey Sawalat wa Jawabat ya Unn ki Roman Composing meinagar koi Galati hui hay tou Huzoor TajushShari'ah iss se baree hain. Choonkay

ye kaam kuch loug mil kar Raza karana tour par Anjaam detay hain jis meinGalati ki Gunjaish hay. Agar aap ko koi Galati nazar aaey tou

[email protected] par muttala' faramen. JazakALLAH Kher!